Wednesday, October 9, 2019

Kya rakha h un kuch palon mein


Kya rakha h un kuch palon mein?
Kya hojayega ek do din mein?

Tum toh yun ud jaoge,
Bin bataye ke vapas kab aaoge.
Aandhi ka saamna,
Jhuggi kaise kare?
Doosra ghar to basa lenge,
Dubara man bhi baha lenge.

Kya rakha h un kuch palon mein?
Kya hojayega ek do din mein?

Kitne kadmon ko rokenge?
Kitni chittiyan likh ke fadenge?
Das me do sher h tuje pasand,
Baaki jhumlon ka kya karein?
Darte h tere faisle se,
Tu kahe to vo ahem,
Tu kahe to kuch bhi nahi.

Kya rakha h un kuch palon mein?
Kya hojayega ek do din mein?

Khushiyon ka rah dekhkar takh gaye,
Titliyon ko kaun kabze me laata h?
Nahi karenge pyar ki poori bayan,
Laal kalam lekar bhait jaoge,
Ki yeh sahi h aur ye ghalat.

Un dabi si aashaon ko, lafzon ko,
Jholi me lekar ghoomtha pagal jaise,
Mere kabr me milenge vo sab,
Guzarte logon ko mashwara dete hue,
Ki pyar ko kaabo mat rakhna,
Balki pyar ke kaabil ho jana.